Wednesday 17 April 2013

TAJUBBA or WAQT :



Bachpan me hum jo zindagi guzarte hain wo bhot befikar or laparw hoti hy, hame kisi cheez ka hoosh nahe hota na sahi ghalt ki pehchan hoti hy , hamare pas azeem naimat WAQT bht miqdaar me hota hy lekin us bhoolpan or masumiyat me in sub cheezon ki kise parwa hoti hy, or waqt guzarta jata hy hum nai nai baten seekhte hain. Lekin yahn b hume un baton pe amal karne ka waqt nahe mila .

Waqt k sath sath hum jub jawani pe qadam rakhte hain to yahan hamare pas josh o jazba hota hy, kuch kar k dikhane ki chah hoti hy hum har jaga har field me hath pair marte hain or apne ap ko samahne ki koshish karte hain is tamam amal k doraan waqt hath sy choot ta jata hy. Or hum tajurba hasil karne k lie he apna tamam tar war surf kr dete hain.

Umar k akhri hisse me hamare pass waqt phr wafer miqdaar me hota hy par yhan hamari himmat jawab de jati hy k yahan wo jawani ka tamam josh o jazba maand par jata hy, or hum TAZURBA hasil kar lete hain, lekin in tazurbat pe amal karne k lie hamare hath wat nahe rehta..

Mere khyal me insane ka sub sy acha zindagi ka hissa bachpan hi hota hy jub insan duniya jahan sy beegana ho kar chand sitaron ki duniya me rehta hy ……… J

No comments:

Post a Comment