Sunday 14 April 2013

"* JIN, BHOOT, CHURAEL ON-AIR *"

JIN'NAAT ! ye lafz sun kr ajeeb sa dar lgta hai, aik zamana hua krta tha jb kbhi kahen jin, bhoot, saya or  asrat jaisya qisay kahanean or kbhi haqiqi waqeat sun'ay ko miltay thy. Magr shayd jis tarha hr cheez taraqi kr rhi hai isi tarha jin, churail or bhooton ny bhi taraqi krle hai or ub  wo bhi hmary qisay kahnion k bjay On-air yani Tv or Radio mai anay k shoqeen hogay hain. Jbhi tou hmara Media aay din aje'naa pr program kr rha hota hai , or sb say ziada manzar amez lamha jb hota hai jb aik jga khali chor di jati hai or kha jata hai yahan JIN  sahb tashreef farma hain. Is sy bhi ziada ghowr talb bat tb hoti hai jb live call k doran aik khaton bat karty huay achank mardana aawaz mai guftugo krna shoro kr deti hain or host k pochny pr jawab  milta hai k mai JIN hon or ubhi mai in khatoon pr agya hon.

Intehai muzaheqay khez bat tb hoti hai jb  morning show ka mozou Jin'nat ho or show k doran kahty hain k is waqt hmaray set pr jin'nat ki mojudgi ko mehsoos kia jaraha hai... 

Morning shows k elawa  bhi mukhtalif promgrams taskhel deay jaty hain jis mai Jin'nat ka interview, Churailon ki rehaish gah ko TV pr dkhaya jata hai,,,  hat'taa k aik bachi pr jin charha hota hai or programe ki host aik aamil baba k sath iskay pas khari na sirf  us sy sawal jawab kr rhi hoti hain balky ye bhi bta rhi hoti hain k ub  hum yahan tum sy bat krny aay hain, tum apna masla btao: hum tmhara masla hal karen gy: tum kis tarha inka pecha chorogy ? bs phr kia janab..! TV mai anay ka shoq kisay nhi hota, isi leay JIN sahab  bhi baray mazay sy khubsorat host ko apna masla bta rhy hotay hain. Goya in programon sy jinnat ko shohrat melay na milay aalbata channels ko achi rating zaroor mil jati hai.



No comments:

Post a Comment