Wednesday 10 April 2013

TV DRAMA'S

T.V dramao ka craze aj kal bohat dekhne mai nazar ata hai....pakistani drame to itne ate hain har channels sy k samjh nahi ata k banda dekhe to akher kon sa drama dekhe??.....kehne ko to drama industry kehti hai k hum apne mushare k hi bare mai btate hain jo kuch aj kal hamare muashre mai ho raha hai but haqiqat mai dramao mai aj kal kuch zayada hi haqiqat ko dekha rahe hain jo k thek nahiii....jaise k aj kal k drame tv pe on air a rahe hain mujhe nahi lagta k wo family drama's hote hain...ya phir ye kehna zyada behtar hoga k mushare ki haqiqat ko bayaan karte karte hum kuch zayada hi apni buraiyu ko bardha chardha k bata rahe hain or logo ko un chezon ki taraf bhi mutawaja kar rahe hain jis taraf shayad un ka aam zindagi mai bhi dhayan nahi jata...

No comments:

Post a Comment