Tuesday 9 April 2013

"COLLEGES VERAN , COACHING CENTERS AABAD"


Dunia mai taleem ki barhti hui sharah ny na sirf taleemi medan mai halchal macha di hai balkay hr khas o aam is maidan mai masroof-e-amal hai.

Colleges jahan mulk k maimaron k do(2) intehai aham saloon ki tashkeel hoti hai, dar haqeqat wahan talba(students) mojud he nhi hoty or agr kbhi talba hazir hon tou asatzah(teachers) ghair hazir hotay hain., jb dono hazir hon tou kbhi talba or kbhi asatza classon mai anna pasand nhi kartay.
Ub agar asatza o talba k is ghair sanjedah amal ki waja talash karen tou pata chalta hai k colleges tou mehz emtehanat mai enrol honay ka aik zarya hain jabkay talba intermediate jaisy qemti saloon ki taleemi besat colleges k bjay jaga jaga kholay chotay bary coaching centers k hwalay krna ziada behtar smjhtay hain. Yehi waja hai k coaching center aik acha business bn chukay hain jahan mulk k maimar apna mustaqbil per-course k hesab sy fees ada kr k sanwarnay k leay koshan rehtay hain. Jbkay coaching centers mai mojud asatza koi asman sy utray nahi balkay wohi asatza hotay hain jo colleges mai hotay hain. albat'a ye alag behas hai k wo yehi taleemi mayar college mai talba ko meyasr(provide) krdain tou caoching mai anay ki nobat he na aay, mgr sd afsoos agr wo aisa karen gy tou coaching center sy milnay wali bhari raqomat ka kia hoga.

Behr-hal qasoor sirf astzah ka he nhi  balkay hmary talba ka b hai jo colleges mai jana apnay waqt ka zeya smjhty hain.Or kuch honhar talba aisay bhi hotay hain jo pora saal khwab e khargosh k mazy letay hain or emtehan sy mehz 2, 3 mahena pehlay hosh k nakhon letay hain ,lehaza aisy mai coaching centers crash classes k nam talba ka saal bachany or mustaqbil snwarny k leay koshan rehtay hain.

 
" Veran hain dars gahen manzr udas hai 
aik rush hai coaching mai, kia elm sirf inkay pas hai "



 

No comments:

Post a Comment