Friday 22 March 2013




KEYA YE THA QUAID-E-AZAM KA PAKISTAN?


Quaid-e-azam ny jab Pakistan banaya to unho ny ye khawab dekha tha k ye mulk tarakqe yafta mulk banyga or yahn k log ab sakon say apni zindagi guzar sakengy q k Pakistan is waja say wajod mai laya gaya tha k hindustan mai jo muslamno k sath hony wali zaiyadti or tashdood say wo nijate hasil kar saken agarchy hindustan mai bhot si qumain abad  thin jin mai hindu or muslim do bari quomen thin jin k apas mai akhtalafaat bhot zaida barh gae thy to quaid-e-azam or hamry bary bary rehnomaion ny ye socha k hindu or muslim alg alg quomain hain ye aik sath mil kar nhi reh saktin is liye musalmon k liye aik alg mulk banaya gaya jahn musalman sakon say reh saken jahn koi firqawarana fasadaat na hon magar afsos Quaid-e-azam ka ye khowab to chiknachor hogaya q k yahn to har taraf firqawarana fasadaat or taassub phel chuka hai hamary quaid ny to jamhoriyat chahe thi magar badqismati say Pakistan ko kabhi sahee jamhoriyat mil hi nhi saki pakistan zaida tar amriyat k zamray mai raha Quaid-e-azam or Liaquat ali khan k bad jo bhi aya us ny mulk k bajaye apni tarakqi k liye koshishen  ki or mulk ko beroni momalik or beroni idaron k qarzon mai jakar diya or ab hamri anny wali naslen bhi in ki maqrooz hain Pakistan ko waisay to bany howy 65 saal chuky hain magar aj tak un maqasid par amal nhi keya gaya jin ko madday nazar rakhty howy Pakistan wajood mai laya gaya tha Pakistan banny say pehly jo qarardad manzor howi thi wo 1940 ki qarardad maqasid thi is k taqreban sath saal bad pakistan wajod mai aya ye mulk hum ny lakhon logon ki janoon ka nazrana day kar hasil keya tha Quaid-e-azam qayam pakistan or qayam pakistan say paida hony waly masail ko hal karny mai abhi masroof thy k qudrat ki taraf say bulawa agaya abhi quam un k gham ko bholi nhi thi k Liaquat ali khan k qatal ka sanyha paish agaya us waqt say lay kar ab tak pakistan baironi or androni jangen lar raha hai in k bad jo hukmaran aye unho ny pakistan ka naqsha hi badal diya Pakistan ko do hisson mai taqseem kar diya gaya mashreeqi pakistan or maghribi pakistan mashreeqi Pakistan Bangladash ban gaya or unho ny pakistan ko dosry mulkon ki jangon mai shamil kar diya jis ki waja say Pakistan ko bhot noqsan ka samna karna para  hai naqis hukomaranon ny mulk ko aisa kar diya k mulk maashii badhali ka shikar hogaya hai jo atta tha wo apni jeban bhar kar chala jata tha or aj tak yehi ho raha hai Quaid-e-azam ny Pakistan is liye banaya tha k wo zameen ka asia hissa ho jahn musalman azadi say apny deen par amal kar saken aur tamam mazhib ko is ki azadi ho tamam logon ki janno maal izat o abroh mehfoz rahai or aik taleemyafta or bashoor awam ho magar afsos in maqasid mai say koi bhi maqsad pora na ho saka keya ye tha Quaid-e-azam ka Pakistan?

1 comment:

  1. pakistan ka hall hamry seyasatdano ny kiya hai........

    ReplyDelete