Saturday 30 March 2013


                                         BABA KI BITIYA

                                                                                 

Baba ka hath thaam kar hi us ne chalna seekha tha, apne baba ka ungli pakar kar hi wo school jaya karti thi. Raste me din bhar ki farmaishen karte hoe aj baba mujhe wo wali chocolate chahye, ya mujhe wo wali doll la den, baba uski tamam farmaishen muskura kar sunte, or unhe pora karneka wada bhi kar lete. Sham jub baba ghar aate to us k lie dheer sari chocolates, biscuits late, or bhool jana ki surat me wo baba sy naraz hojati, or baba thake hone k bawajood uski narazgi k dar sy use park le k jate, or apni laddli k khoob naaz uthate.

Larakpan ki dehleez pe wo baba hi hote jo har qadam pe uska saath dete, parhne k lie subjects sy le kar doston k intekhaab me baba hi use sahi ghalat ki pehchaan karwate, wo baba hi hote jinhen apni beti pe had darja aitbaar hota k unki beti unka sar neecha nahe hone degi. Or wo apni parhai sy apne baba ka ghoroor kabi na toorti, hamesha unki umeed say barh kar marks leti.

Jawani pe jab wo qaqam rakhti apne baba ko kuch boorha paati ,
fikar or sooch ki lakeeren unki aankhon me raqsaan hoten, or wo pareshan kyon na hote k unki lakht-e-jigar ki zindagi ka mamla tehra, wo apni betiya ki zindagi ka sub sy ehem faisla karne ja rahe hote, or betiya ko un k har faisle pe pora aitbaar hota k un ka har faisla us k haq me behtar hoga. Or phr wo waqt aa hi jata jub wo apne babul ka aangan suna kar kay apni haqeqi zindagi k lie rawana hoti, baba ki aankhon me nami hoti or honton pe apni laadli k lie dua.
 Baba ki bitiya ye baat achi tarhan sy jaanti hy k jo pyar baba ne dia , aisa beloos pyar koi or mard de hi nahe sakta, wo janti hy k wo apne baba ki hi ladli hy, apne baba ki hi chaheeti hy, baqi duniya ki nazar me aik aam aurat hy….


باپ  سے  ملتی  ہیں شوہر  سے  پوچھ  کر 
بیٹی جب رخصت ہوتی ہے حقدار بدل جاتا ہے  

DEDICATED TO ALL BABA’S BITIYA

No comments:

Post a Comment