Monday 25 March 2013


                                  SAR KA DARD                              

                                 (WAJOHAAT OR ILAAJ)



                                           

Sar ka dard ek aam si beemari hai jis me aam taur pe hr koi mubtala hojata hai .100 me se 99 afraad ko zindagi men sar ka dard kbhi na kbhi zaroor lahiq hota hai.
 Is ki wajohaat to kaafi hain ta hum aam sar k dard ki wajohaat mamooli hoti hain jese taiz dh00p , taiz r0shni , neend ki kami , thakan , tention , jism men sugar ki sitah ka kam h0na , bl00d pressure ka kam h0na , shor , dhuwan is k ilawa taiz namak mirch k istamaal se bhi insaan sar dard men mubtala hoskta hai. is k ilawa gussa krna , be-sabri or behas bazi ki adat bhi sar dard ka sabab ban sakti hain. taiz dhoop ya taiz r0shni me nikalne se chand mint k andar hi sar me dard shuru hosakta hai. ek aam jawan admi ko rozana 8 h0urs ki neend ki zaroorat hoti hai jb k bachon ko 10 hours ki neend darkaar hoti hai jo bache baghair nashte kie school chale jate hain ya jo afraad khali pait kaam me lage rehte hain un k jism men arzi taur per sugar ki sitah gir jati hai is se bhi sar ka dard hosakta hai jo kai ghanton tak jari reh sakta hai. kam miqdaar men pani peney se bhi admi sar dard me mubtala hoskta hai isi trhan  blood pressure me kami beshi b is marz ko janam de sakti hai. mahoul ki aloodgi , chemicals , badbu ya khushboo bhi dimagh k aisaab ko mutasir kar ksar dard ki wajah ban skti hai. is trhan k sar dard se ehityaat or sada dawaen istimaal krne se nijat mil skti hai.
                     
is k ilawa sar dard ki kuch khatarnak wajohaat b hoti hain jin men falij , infecti0n , TB or dimagh ki rasolian shamil hain inki tashkhees zaroori hai or ilaaj bhi mushkil lekin mumkin hai.
sar dard k har mareez ko falij ka khatra nhn hota lekin falij k  boht se mareezon ko falij hone se pehle sar men dard bhi rehta hai jin mareezon k sar me rozana dard ho khaas taur pe subha k waqht or us k sath hi matli b ho to aesi soorat me CT SCAN krwana zaroori  hai take apko beemari pta chale or ap theek trhan se apna ilaaj krwasaken......                                               

No comments:

Post a Comment