KIYA HUM YE JANG HAR RAHAY HAIN??
Har saal 24 march ko Tuberculosis (TB)ka almi din manaya jata hai jis ka maqsad duniya k tamam logon ko TB ka shaoor dayna hai aur is ko khatam kar ny k liye iqdamat karna hai har saal duniya k 1.7 million log is say mout ka shikar hojatay hain jis mai say zaida tar teesri duniya k bashinday shamil hain 24 march 1882 mai Doctor Robert Koch nay TB ka jaraseem daryafat kiya jis k bad 1996 mai World Health Organization nay 24 march ko TB ka almi din manany ka aillan kiya jis ka maqsad is bemari ko rokna or is ka khattma hai Pakistan mai teezi say pehlnay wali bemariyon mai say aik bari bemari TB hai .TB aik jaan lewa bemari hai jis say har saal lakhon afrad mout ki neend so jaty hain hamary mulk mai 1.5 million log TB ka shikar hain har saal das lakh mai say tees log TB ka shikar hojaty hain aur 24% mareez jo hain wo TB k hospitals tak nhi poch patay is bemari k ibtadaee symptoms do hafty say zaida bukhar, khansi or kamzori hai ye aik aisi bemari hai jo aik TB k mareez say dosray insan ko montaqil hosakti hai.
No comments:
Post a Comment