Friday 22 March 2013




PANI  KI AHMIYAT

Pani qudrat ka anmol tohfa hai jo khuda tawala ny hamen atta kiya hai pani har jandar k liye bhot zarori hai bhagair pani k koi bhi jandar zinda nhi reh sakta pani ki qilat roz baroz pori duniya mai barh rahi hai jis ki pehli waja duniya ki barhti howi abadi hai or dosri pani k zakhiron mai kami hai jis ki waja say duniya mai do billion log pani ki qilat ka samna kar rahay hain or ye tadaad barh kar teen billion tak pochny wali hai duniya bhar mai 3.5 million log pani ki kami ki waja say mout ka shikar hojaty hain jis mai say 99 fisad tarakqii pazir momalik mai say hoty hain pakistan mai pani ki shadeed kami hai jis ki aik bari waja barhti howi abadi hai or pani zakheera karny k liye demon ki kami hai pakistan aik zaraee mulk hai or is ki tarakqi k liye pani bhot zarori hai pakistan mai kaee log pani ki qilat ka samna kar rahy hain or jin ko pani moyasar hai wo intahaee kharb halat mai hai jis ki waja say log kaie jan lewa bimariyon ka shikar ho rahy hain agar ab is par tawaja na di gae to pakistan anny waly waqton mai pani ki shadeed qilat ka samna kar sakta hai.

1 comment: