Sunday 31 March 2013

   ROLE OF ELECTRONIC MEDIA IN COMMUNICATION:-

   

                         


 Electronic media played a very vital role in communication. Electronic communication has contributed a lot in business environment. They made business meetings through Video, possible and communicating messages between employees like notices etc possible. Electronic Media also made possible communication between employees sitting in different branches and thus developing an organization more into community with people facing similar tasks. In Modern Office It played an important role in highlighting problems in society either through Entertainment Dramas or through News, Electronic Media is a source for common people through which they can raise their voice and highlight different issues they want Government to resolve. Electronic Media has influenced people in developing change in attitude towards different situations.


 

Saturday 30 March 2013


                                         BABA KI BITIYA

                                                                                 

Baba ka hath thaam kar hi us ne chalna seekha tha, apne baba ka ungli pakar kar hi wo school jaya karti thi. Raste me din bhar ki farmaishen karte hoe aj baba mujhe wo wali chocolate chahye, ya mujhe wo wali doll la den, baba uski tamam farmaishen muskura kar sunte, or unhe pora karneka wada bhi kar lete. Sham jub baba ghar aate to us k lie dheer sari chocolates, biscuits late, or bhool jana ki surat me wo baba sy naraz hojati, or baba thake hone k bawajood uski narazgi k dar sy use park le k jate, or apni laddli k khoob naaz uthate.

Larakpan ki dehleez pe wo baba hi hote jo har qadam pe uska saath dete, parhne k lie subjects sy le kar doston k intekhaab me baba hi use sahi ghalat ki pehchaan karwate, wo baba hi hote jinhen apni beti pe had darja aitbaar hota k unki beti unka sar neecha nahe hone degi. Or wo apni parhai sy apne baba ka ghoroor kabi na toorti, hamesha unki umeed say barh kar marks leti.

Jawani pe jab wo qaqam rakhti apne baba ko kuch boorha paati ,
fikar or sooch ki lakeeren unki aankhon me raqsaan hoten, or wo pareshan kyon na hote k unki lakht-e-jigar ki zindagi ka mamla tehra, wo apni betiya ki zindagi ka sub sy ehem faisla karne ja rahe hote, or betiya ko un k har faisle pe pora aitbaar hota k un ka har faisla us k haq me behtar hoga. Or phr wo waqt aa hi jata jub wo apne babul ka aangan suna kar kay apni haqeqi zindagi k lie rawana hoti, baba ki aankhon me nami hoti or honton pe apni laadli k lie dua.
 Baba ki bitiya ye baat achi tarhan sy jaanti hy k jo pyar baba ne dia , aisa beloos pyar koi or mard de hi nahe sakta, wo janti hy k wo apne baba ki hi ladli hy, apne baba ki hi chaheeti hy, baqi duniya ki nazar me aik aam aurat hy….


باپ  سے  ملتی  ہیں شوہر  سے  پوچھ  کر 
بیٹی جب رخصت ہوتی ہے حقدار بدل جاتا ہے  

DEDICATED TO ALL BABA’S BITIYA

Wednesday 27 March 2013


SINDH KI KHIDMAT-PAKISTAN KI KHIDMAT

Iqdamaat wohi hote hain jo nazar ate hain or jis se awam ko faida paunhanche jesa k sindh hukumat ne in 5 saalon men sindh ki khawateen k lye boht ache kaam kiye. mulazimat pesha khawateen k baChon k lye "DAY CARE CENTRE" qaim kiye gae , sainkron aurton or larkion ko hunar ki tarbiyat di gae , qaidi khawateen or bachion ko relief dene k lye 2 crore rupees ka fund qaim kiya gaya , M0htarma "BENAZIR BHUTTO SHAHEED" youth development programme k tehat bachion ko or khawateen ko boht saare courses krwae gae, jesa k buisness management or offiCe management ye sare mawaqe ese hain k jin se wo khud apna rozgaar kama saken.
"YEhE w0 aChe kaaM haiN j0 sinDh ki huKumat ne kiE" .

SHEHER-E-QUAID KI BARISH KO SALAM....!!!!




Monday 25 March 2013


                                  SAR KA DARD                              

                                 (WAJOHAAT OR ILAAJ)



                                           

Sar ka dard ek aam si beemari hai jis me aam taur pe hr koi mubtala hojata hai .100 me se 99 afraad ko zindagi men sar ka dard kbhi na kbhi zaroor lahiq hota hai.
 Is ki wajohaat to kaafi hain ta hum aam sar k dard ki wajohaat mamooli hoti hain jese taiz dh00p , taiz r0shni , neend ki kami , thakan , tention , jism men sugar ki sitah ka kam h0na , bl00d pressure ka kam h0na , shor , dhuwan is k ilawa taiz namak mirch k istamaal se bhi insaan sar dard men mubtala hoskta hai. is k ilawa gussa krna , be-sabri or behas bazi ki adat bhi sar dard ka sabab ban sakti hain. taiz dhoop ya taiz r0shni me nikalne se chand mint k andar hi sar me dard shuru hosakta hai. ek aam jawan admi ko rozana 8 h0urs ki neend ki zaroorat hoti hai jb k bachon ko 10 hours ki neend darkaar hoti hai jo bache baghair nashte kie school chale jate hain ya jo afraad khali pait kaam me lage rehte hain un k jism men arzi taur per sugar ki sitah gir jati hai is se bhi sar ka dard hosakta hai jo kai ghanton tak jari reh sakta hai. kam miqdaar men pani peney se bhi admi sar dard me mubtala hoskta hai isi trhan  blood pressure me kami beshi b is marz ko janam de sakti hai. mahoul ki aloodgi , chemicals , badbu ya khushboo bhi dimagh k aisaab ko mutasir kar ksar dard ki wajah ban skti hai. is trhan k sar dard se ehityaat or sada dawaen istimaal krne se nijat mil skti hai.
                     
is k ilawa sar dard ki kuch khatarnak wajohaat b hoti hain jin men falij , infecti0n , TB or dimagh ki rasolian shamil hain inki tashkhees zaroori hai or ilaaj bhi mushkil lekin mumkin hai.
sar dard k har mareez ko falij ka khatra nhn hota lekin falij k  boht se mareezon ko falij hone se pehle sar men dard bhi rehta hai jin mareezon k sar me rozana dard ho khaas taur pe subha k waqht or us k sath hi matli b ho to aesi soorat me CT SCAN krwana zaroori  hai take apko beemari pta chale or ap theek trhan se apna ilaaj krwasaken......                                               



AIK TAREEKHI DIN 

25 March PAKISTAN ki tareekh ka khowbsorat din jis  mai pakistani qoum nay aik bhot bari khushi hasil ki world kab ki surat  mai ye world cup PAKISTAN   nay ENGLAND k khilaf 1992 mai aik bhot hi umda kaarkardagi k nateejay mai hasil kiya us din PAKISTAN fatah say humkinar howa is world cup ko jeetnay k nateejay mai quom ko aik bhot bari khushi milli or qoum mai itihad paida howa ye wahid 50 50 ka world cup tha jo PAKISTAN nay hasil kiya or ye PAKISTAN cricket ki tareekh ka aik sunherah din hai.

Sunday 24 March 2013



TALEEM PAKISTAN KI ZARORAT

Pakistan mai din ba din taleem ka rojhan kam say kam hota chala ja rah hai hanlaky taleem hasil karna har insan ka haq hai magar hamary mulk mai sirf 55% fisad log taleem yafta hain yehi waja hai k hum takqee yafta momalik say bhot zaida pechy reh gayen hain kyon k hamary yahan taleem ki bhot kami hai agar taleem  hi nhi hogi to hum kis tarha dosri takqee yafta qumon ka muqabla karengy taleem hasil karna to har mard orat par farz hai magar hamara mulk jis ka naam islami jamhoriya pakistan hai yahan to taleem ka fuqdan hai or uper say sony pay sohaga hamary hukmaran jinhon nay taleem par kabhi tawaja nahi di taleemi idaron ka is qadar naqis haal hai k wahan taleem kay bajayee bhensoon k baray bana diye gayen hain ye to hamaray mulk mai taleemi idaron ka haal hai hamary mulk k deehii ilaqon mai taleemi idaron ka bhot bura haal hai jahan asatza hi taleemi idaron mai mujood nhi hoty hain aisay halat mai tulba taleem hasil karny say qasir hain hamary mulk mai bhot zaida log aisay hain jo apny bacho ko taleem hasil karanay ka bajaye un say kam karwaty hain kyon k un k pas itnay wasayil hi nahi hotay hain kay wo apnay bachon ko taleem hasil kar wa sakayen magar afsos hamari hukomat is par koi tawajja nahi dayti hai in hukomarano ko apni jaiben bharnay say forsat hi kahan hai hamary budget ka khali do fisad taleem par kharch kiya jata hai jo kay bhot hi choti sharah hai pakistan kay taleemi nizam mai bhi firqawariyat basi howi hai gareeb kay bachon kay liye taleem ka miyar kuch aur hai or ameer kay liye kuch or hai hamary mulk mai taleem ko tejarat bana diya gaya hai aur taleem paison say milti hai or paisa hasil karnay k liye li jati hai jab kay taleem ka maqsad paisay ka husool nahi balkay logon ko  shaoor hai or aik acha insan or aik acha shehri banana hai hamray mulk mai sab say gair ehm taleem ko samjha jata hai agar hamary mulk mai taleem ka shoba durost kar diya jaye to bhot say bary masayel hal ho sakty hain jis mai aik bara masla dehshat gardi ka hai jo taleem kay zariye logon ko shaoor day kar khatam kiya ja sakta hai.

Saturday 23 March 2013

"DOWRY SYSTEM"



No doubt,  Dowry is a gift given by parents to their lovely daughter on her marriage. But now it turns as a system in our society.The dowry system which is so deeply rooted, even sometimes people feels that there is no way out of this.This custom is not only practise in Pakistan but even in all over Asia.

Dowry is not only concerned to ill-literate community but even modern & well educated families are involve in it, so, what to expect from uneducated or backward people.
Many people believe that giving & receiving of dowry reflects status & even its an effort to climb Up in social hierarchy.



if i take a look on  history then  dowry was a way of providing a woman with a portion of her families wealth, or a part from her inheritance. Somehow dowry is believe to be best way to protect a women from suffering abuse or ill-treatment by in-laws.

As every girl consider her self a Fairytale & a fairy tale's wedding is every girls dream, the day when everything should be Just Perfect.! Do your dreams need a dowry from shoes to a hundred dress? cutlery to a cookery set ? luxuries?  the furniture with well furnished decorated home & a wide variety of jewellery?
The most lovely & fairytale daughter in the whole universe is Bibi Fatima (s.a), What our Holy Prophet(pbuh) gave to Her only daughter???    Just Necessities...!


I know most of  you are thinking that dowry is our culture, tradition, status symbol ,etc But actually its a plane SOCIAL BLACKMAIL.


     A/c to me, " the best dowry that parents can give to their daughter is a better education with best ethics & good character."









KIYA HUM YE JANG HAR RAHAY HAIN??

Har saal 24 march ko Tuberculosis (TB)ka almi din manaya jata hai jis ka maqsad duniya k tamam logon ko  TB ka shaoor dayna hai aur is ko khatam kar ny k liye iqdamat karna hai har saal duniya k 1.7 million log is say mout ka shikar hojatay hain jis mai say zaida tar teesri duniya k bashinday shamil hain 24 march 1882 mai Doctor Robert Koch nay TB ka jaraseem daryafat kiya jis k bad 1996 mai World Health Organization nay 24 march ko TB ka almi din manany ka aillan kiya jis ka maqsad is bemari ko rokna or is ka khattma hai Pakistan mai teezi say pehlnay wali bemariyon mai say aik bari bemari TB hai .TB aik jaan lewa bemari hai jis say har saal lakhon afrad mout ki neend so jaty hain hamary mulk mai 1.5 million log TB ka shikar hain har saal das lakh mai say tees log TB ka shikar hojaty hain aur 24% mareez jo hain wo TB k hospitals tak nhi poch patay is bemari k ibtadaee symptoms do hafty say zaida bukhar, khansi or kamzori hai ye aik aisi bemari hai jo aik TB k mareez say dosray insan ko montaqil hosakti hai.





PAKISTAN ZINDABAD





  Khuda Karay Kay Meri Arz-e-Pak Pay Utray Woh Fasl-e-Gul 
Jissay Andesha-e-Zawwal Na Ho

Yahan Jo Phool Khillay Khila Rahay Sadiyon Yahan Say
 Khizan Ko Guzarnay Ki Majaal Na Ho

Yahan Jo Sabza Ugay Hamesha Sabz Rahay Aur Aisa Sabz
 Kay Jisski Koi Misaal Na Ho

Khuda Karay Kay Na Kham Ho Sir-e-Wiqar-e-Watan Aur Iss
 Kay Husn Ko Tashweesh-e-Mah o Saal Na Ho

Har Aik Fard Ho Tahzeeb-o-Fun Ka Aouj-e-Kamaal Koi 
Malool Na Ho, Koi Khasta Haal Na Ho

Khuda Karay Meray Aik Bhi Ham Watan Kay Liyay Hayat
 Jurram Na Ho, Zindagi Wabaal Na Ho

Happy Pakistan Day

Long Live Pakistan



Friday 22 March 2013




KEYA YE THA QUAID-E-AZAM KA PAKISTAN?


Quaid-e-azam ny jab Pakistan banaya to unho ny ye khawab dekha tha k ye mulk tarakqe yafta mulk banyga or yahn k log ab sakon say apni zindagi guzar sakengy q k Pakistan is waja say wajod mai laya gaya tha k hindustan mai jo muslamno k sath hony wali zaiyadti or tashdood say wo nijate hasil kar saken agarchy hindustan mai bhot si qumain abad  thin jin mai hindu or muslim do bari quomen thin jin k apas mai akhtalafaat bhot zaida barh gae thy to quaid-e-azam or hamry bary bary rehnomaion ny ye socha k hindu or muslim alg alg quomain hain ye aik sath mil kar nhi reh saktin is liye musalmon k liye aik alg mulk banaya gaya jahn musalman sakon say reh saken jahn koi firqawarana fasadaat na hon magar afsos Quaid-e-azam ka ye khowab to chiknachor hogaya q k yahn to har taraf firqawarana fasadaat or taassub phel chuka hai hamary quaid ny to jamhoriyat chahe thi magar badqismati say Pakistan ko kabhi sahee jamhoriyat mil hi nhi saki pakistan zaida tar amriyat k zamray mai raha Quaid-e-azam or Liaquat ali khan k bad jo bhi aya us ny mulk k bajaye apni tarakqi k liye koshishen  ki or mulk ko beroni momalik or beroni idaron k qarzon mai jakar diya or ab hamri anny wali naslen bhi in ki maqrooz hain Pakistan ko waisay to bany howy 65 saal chuky hain magar aj tak un maqasid par amal nhi keya gaya jin ko madday nazar rakhty howy Pakistan wajood mai laya gaya tha Pakistan banny say pehly jo qarardad manzor howi thi wo 1940 ki qarardad maqasid thi is k taqreban sath saal bad pakistan wajod mai aya ye mulk hum ny lakhon logon ki janoon ka nazrana day kar hasil keya tha Quaid-e-azam qayam pakistan or qayam pakistan say paida hony waly masail ko hal karny mai abhi masroof thy k qudrat ki taraf say bulawa agaya abhi quam un k gham ko bholi nhi thi k Liaquat ali khan k qatal ka sanyha paish agaya us waqt say lay kar ab tak pakistan baironi or androni jangen lar raha hai in k bad jo hukmaran aye unho ny pakistan ka naqsha hi badal diya Pakistan ko do hisson mai taqseem kar diya gaya mashreeqi pakistan or maghribi pakistan mashreeqi Pakistan Bangladash ban gaya or unho ny pakistan ko dosry mulkon ki jangon mai shamil kar diya jis ki waja say Pakistan ko bhot noqsan ka samna karna para  hai naqis hukomaranon ny mulk ko aisa kar diya k mulk maashii badhali ka shikar hogaya hai jo atta tha wo apni jeban bhar kar chala jata tha or aj tak yehi ho raha hai Quaid-e-azam ny Pakistan is liye banaya tha k wo zameen ka asia hissa ho jahn musalman azadi say apny deen par amal kar saken aur tamam mazhib ko is ki azadi ho tamam logon ki janno maal izat o abroh mehfoz rahai or aik taleemyafta or bashoor awam ho magar afsos in maqasid mai say koi bhi maqsad pora na ho saka keya ye tha Quaid-e-azam ka Pakistan?



PANI  KI AHMIYAT

Pani qudrat ka anmol tohfa hai jo khuda tawala ny hamen atta kiya hai pani har jandar k liye bhot zarori hai bhagair pani k koi bhi jandar zinda nhi reh sakta pani ki qilat roz baroz pori duniya mai barh rahi hai jis ki pehli waja duniya ki barhti howi abadi hai or dosri pani k zakhiron mai kami hai jis ki waja say duniya mai do billion log pani ki qilat ka samna kar rahay hain or ye tadaad barh kar teen billion tak pochny wali hai duniya bhar mai 3.5 million log pani ki kami ki waja say mout ka shikar hojaty hain jis mai say 99 fisad tarakqii pazir momalik mai say hoty hain pakistan mai pani ki shadeed kami hai jis ki aik bari waja barhti howi abadi hai or pani zakheera karny k liye demon ki kami hai pakistan aik zaraee mulk hai or is ki tarakqi k liye pani bhot zarori hai pakistan mai kaee log pani ki qilat ka samna kar rahy hain or jin ko pani moyasar hai wo intahaee kharb halat mai hai jis ki waja say log kaie jan lewa bimariyon ka shikar ho rahy hain agar ab is par tawaja na di gae to pakistan anny waly waqton mai pani ki shadeed qilat ka samna kar sakta hai.


                                "Mera Pehla Blog"

 Lekha tou bht kuch bht bar magar apni lekhai me wo pukhtagi or pur-aetamadi na dkhi jo usy manzare aam pr lany ka hosla deti. Phr socha insan tou hai he khatao'n(mistakes)  ka putla pr is putlay ko khata'  k aeewz kuch melay na melay Tajurba zaroor milta hai, bs usi tajurbay ko hasil karnay ki koshish mai main ny socha bhaly he meri lekhai me wo pukhtagi na ai ho magr koi bhi chez perfect nhi hoti, isi leay ye khayal aya k kahen perfection k intezar me meri sooch, ghour o fikar, izhar o khayalat or  nazaryat  sirf mujh tk hi mehdood ho kar na reh jain q k buzurgon sy suna tha k Elm Batnay Sy Barhta Hai , tou q na mera thora bht elm   agr ap tk meray qalam k zareay phnchay tou yaqeenan natejay mai mjhy bhi bht kuch sekhny ko milay ga.Or sekhtay sekhtay shayad meary qalam ko bhi wo ranai naseeb ho jai jo aik Sahafi (Journalist) k qalam mai honi chaheay . Albat'ta mjhy ye amal bht jald pora hota dekhai dy rha hai

اٹھاتی ہوں جب قلم کے لکھوں کچھ خاص بن کر 
الفاظ بولتے ھیں میرے ذہن کا عکاس بن کر

is sher sy ap smjh tou gay hi hongy k mujh nacheez  k qalam mai qaari(reader) ko sachai or haqiqat ka chehra he dekhnay ko melay ga, jo k sahaft(journalism) ka sb sy qeemti sarmaya hota hai..Ub dekheay lekhtay lekhtay pata he nhi chala k mai ny apna Pehla Blog lekh bhe lea....
Umeed hai apko haqeqat ki ye jhalak pasand ai hogi. :)

         RUKIYE… KUCH KHANE SY PEHLE SOCHIYE..

STRAWBERRY… jo kay aj kal bache baray sub shook or raghbat sy khate hain, Is phal me kasrat sy wo vitamins pae jate hain jo k hamari jismani nasho numa k lie bhoot mufeed hain, LAKIN is azeem naimat ko zeher ki surat phelaya ja raha hy. Laal rung kay spray say is pe wo masnoi  rung kia ja raha jo kay hamarae lie zeher hy..


                                        TAJURBA KIJIYE

Yaqeen na aye to tajurbe k tor pe strawberry khareed k isay pani me bhigo den, ap daikh saken ge k pan laal rung me tabdeel hochuka hy..

DOODH
Ishi tarhan doodh jo hamari hadiyon k lie bhoot zaroori hy, hamare pyare mulk me milawt k toor pe bik raha hy, doodh me ghair mayari powder wala doodh mix kar k farookht kia jar aha hy..


                                         TAJURBA KIJIYE

Tazurbe k tor pe doodh ubaalye or dosray ubaal pe bund kar dijiye , pateeli ki nicli satha pe aap aik kaali layer daikhenge jo k sukhay doodh ki layer hy..


Hamare pyare watan me ishi tarhan ki or b ghair mayari ashae-e-khurdonoosh farookh ki ja rahi hain, Daal, chawaa, masala jaat, paani tak me milawat hy. Yehi wajah hy kay hum aaye roz bemar rehte hain. sawal ye hay k ghareeb awam kya khae? Hum Ghizaiyat khareed rahe hain ya Beemari??
SOOCHIYE…

معرکہ ابھی ختم نہیں ہوا :

جمرات بروز ٢١ مارچ ٢٠١٣ کو پاکستان اور جنوبی افریقہ کے درمیان ہونے والا چوتھا ون ڈے پاکستان نے جیت تو لیا ہے ،لیکن یہ معرکہ ابھی ختم نہیں ہوا .ویسے تو دورہ جنوبی افریقہ میں پاکستان کرکٹ ٹیم کی کارگردگی کچھ خاص نہیں رہی جیسے ٹیسٹ سیریز میں پاکستان کو شکشت کا سامنا کرنا پڑا ،لیکن ٹی ٹوینٹی سیریز پاکستان نے اپنے نام کرلی .اب ون ڈے سیریز کا فیصلہ ہونا باقی ہے .ون ڈے سیریز میں کھلاڑیوں نے اچھی کارگردگی دکھائی ہے ،جیسے نئے کھلاڑیوں نے سنچری بنائی اور پرانے کھلاڑی کی پرفارمنس پر سے کالے جادو کا اثر ختم ہوا تو انہوں نے خوب چوکے چھکے اڑ اۓ لیکن دوسرے میچ کی کارگردگی دیکھ کر یہ  لگا  کہ ان کی پرفارمنس پر پھر سے کسی نے کالا جادو کروا دیا ہے .خیر اب یہ دیکھنا  باقی ہے کہ اتوار کو ہونے والا پانچواں ون ڈے کس کے نام ہوتا ہے ،سیریز کون جیتے گا اور جیت کا تاج کس ٹیم کے سر پر سجے گا. ہماری دعا پاکستانی کرکٹ ٹیم کے ساتھ ہے. الله ان کو کامیاب کرے. (آمین ) 

Thursday 21 March 2013

حکومت کی ناقص کارکردگی 


 حکومت نے ان پانچ سالوں میں عوام  کو دیا  ہی کیا ہے ؟ایک طرف تو مہنگائی نے عوام کی کمر توڑ کر رکھ دی ہے تو دوسری طرف دہشت گردی کی وجہ سے تقریباً روز ہی پندرہ سے بیس بیگناہ لوگ لقمہ اجل بن جاتے ہیں یہ وہ معصوم لوگ ہیں جو اپنی روزی روٹی کمانے کے لئے اپنے اپنے گھروں سے نکلتے ہیں اور یہ معصوم لوگ دہشت گردی کی بھینٹ چڑھ جاتے ہیں مظلوم عوام روز ہی مارتی ہے مگر ہمارے عظیم سیاست دانوں کو اتنی فرصت کہاں ہے کہ وہ عوام کو ان ظالموں سے بچا سکے ان کے مسائل حل کر سکیں ہماری حکومت کو معلوم تو سب ہوتا ہے کہ کب دہشت گردی ہوگی کب ہونے والی ہے یہاں تک کہ عوام کو آگاہ بھی کردیتے ہیں کہ اس دن دہشت گردی ہونے والی ہے مگر اسے روکتے نہیں ہیں نہ ہی کوئی اقدامات کرتے ہیں اور دوسری طرف یہ مہنگائی جو روکنے کا نام نہیں لیتی اگر غریب عوام دہشتگردی سے بچتی ہے تو مہنگائی کا طوفاں انہیں مار دیتا ہے روٹی کپڑا اور مکان کے وعدے کرنے والے یہ حکمران نے عوام کو جیتے جی مار دیا ہے یہاں تک کے یوٹیلٹی اسٹورز پر سو سے زائد اشیا کی قیمتوں میں اضافہ کر دیا گیا حلانکے یہ اسٹورز تو اس لئے کھولے گئے تھے کہ عوام کو کم قیمتوں میں چیزیں فراہم کردی جائیں مگر جب سرکاری ادارے کی جانب سے ہی قیمتوں میں اضافے نے عوام کو مزید مشکلات میں مبتلا کر دیا ہے ایسا لگتا ہے کے حکومت صرف عوام کو لوٹنے اور مارنے کے لئے آی ہے آخر کب تک ہم ان ناقص حکمرانوں کو جھیلیں ؟