Ham din me kae bar muskurate hain lekin hamari aik muskan
ketne logo k lie khushi ka bais banti hy ye hum nahe jante. Zindagi me kuch aik
log aise hote hain jo hamare hamesha hansne mukurani ki dua karte hain , kyon k
un k lie hamari khushi hi mainay rakhti hy. Lekin muskurane k kae faide b hain
maslan:
·Mukurahat hamare mood ko bahaal kai hy.
·Muskurane sy hame andruni taqwiat miti hy.
·Muskurahat hamari tension or masail ko b kam
karti hy.
·Jaded zaraye sy pata chalta hy k muskurahat
hamare body system ko b bahaal karti hy.
·Ye madad karti hy high blood pressure ko kam
karne ki.
·Aik muskurahat hamare chehre ko aisa look deti hy
k wo mazeed jawan lage, or tazgi bakhsti hy,
·Ye hame musbat (positive) sochne par maail karti
hy.
·Muskurahat or dili khushi hi kamyabi ka gehraa
raaz b hy .
Ab hum muskurahat faide to jaan chuke hain lekin yaha ye b
zarori hy k kese muskuraya jae, kyon k is k bhi kuch aadaab hain maslan:
·Hame zabardst nahe balke dil sy muskurana
chahye, take ap khud apni muskan sy mutmain lagen.
·Apki muskan hamesha sachi or kharri ho.
·Aankhen b muskurati hain. Jub ap Hansen apki
aankhen apki hansi ki gawahi den.
·Hamesha apne danton ki safai ka khayal rakhen.
Bus in kuch baton pe amal Karen or apni khushi ko anjoy Karen, kyon k hansna b aik naimat hay, or
aajiz banda hr hal me apne rab ka shukar guzar rehta hy. To khud bhi muskuraen
or apne ird gird b muskurahaten bikheren…..
No comments:
Post a Comment