Monday, 15 April 2013

 

PAKISTAN KI TABHA HOTI HOWI MAYEESHAT OR HUKUMAT KI NAEHLII......

Jis tarha hamary mulk ki abadi mai teezi say  izafa ho raha hai us hi teezi say hamary mulk ki mayeeshat garti chali ja rahi hai pechlay kuch saalon say Pakistan ki mayeeshat tabah ho rahi hai jis ki bari waja is ki andaroni seyasi masail ,barhti howi abadi , dehshat gardi or hamsayon say nachaqi hai duniya bhar mai qimatoon mai izafa or maashi pasmandagi hai jis ki waja say Pakistan ki mayeeshat masail ka samna kar rahi hai 2000 say 2007 tak Pakistan ki mayeeshat behtar rahi us waqt taqreeban GDP 7% tha is k bad Pakistan ki abadi or siyasi masayeel ki waja say mayeeshat ka zawal shuro howa 2008 mai hamari mulk ki mayeeshat ki taraqee tehrao ka shikar hogaye thi or rupee ki qimat girna shuro hogae Pakistan aik zaree mulk hai or is ki tareeqi ka inhesar zaraat par hai zaraat Pakistan ki mayeesaht mai rereeh ki hadi ki hesiyat rakhti hai gandom ki paidawar mai kami beronay mumalik mai is ki smuggling or gandom kam kimat mai bechnay ki waja say Pakistan ki mayeeshat ko noqsan ka samna karna parta hai Pakistan apna zaida tar sarmaya petroleum ki masnuaat par kharch karta hai Pakistan ky kham teel ki mang pechaly das salon mai taqreeban 100% barh chuki hai or is ki waja say petroleum ki masnuaat ki qematen bhi gaen hain Pakistan ki daramad mai 50% hissa kapray ki sanat ka hai lekin bijli k bohran or nirqon mai izafay ki waja say ye sanat shadeed bohran ka shikar hai or is say kai log berozgar hogayen hain Pakistan ik masla ye hai k aik to mayeehat kamzor howi or ab tak is ki bahali k liye koi iqdamat nahi kary gaye dehshat gardi , firqawarana fasadaat ,or adam aitamadi ki waja say bary bary sarmaya day or sarmaya beronay mulk chala gaya jis ki waja say hamara mulk mashi badhali ka shikar hogaya hai or Pakistan mai bari bari multinational companies ki sarmaya kari kam hogae hai jis ki bari waja Pakistan kay andaroni halat or ayedin dehshat gardi kay waqiyat hain beharhaal in tamam masail say bakhabar honay ky bawajud hamari hukomat in masail par tawajaa daynay say qaseer hai jis say hukomat ki naehli saaf zahir ho rahi hai .

No comments:

Post a Comment