Bachpan me hum jo zindagi guzarte hain wo bhot befikar or
laparw hoti hy, hame kisi cheez ka hoosh nahe hota na sahi ghalt ki pehchan
hoti hy , hamare pas azeem naimat WAQT bht miqdaar me hota hy lekin us bhoolpan
or masumiyat me in sub cheezon ki kise parwa hoti hy, or waqt guzarta jata hy
hum nai nai baten seekhte hain. Lekin yahn b hume un baton pe amal karne ka
waqt nahe mila .
Waqt k sath sath hum jub jawani pe qadam rakhte hain to
yahan hamare pas josh o jazba hota hy, kuch kar k dikhane ki chah hoti hy hum
har jaga har field me hath pair marte hain or apne ap ko samahne ki koshish
karte hain is tamam amal k doraan waqt hath sy choot ta jata hy. Or hum tajurba
hasil karne k lie he apna tamam tar war surf kr dete hain.
Umar k akhri hisse me hamare pass waqt phr wafer miqdaar me
hota hy par yhan hamari himmat jawab de jati hy k yahan wo jawani ka tamam josh
o jazba maand par jata hy, or hum TAZURBA hasil kar lete hain, lekin in
tazurbat pe amal karne k lie hamare hath wat nahe rehta..
Mere khyal me insane ka sub sy acha zindagi ka hissa bachpan
hi hota hy jub insan duniya jahan sy beegana ho kar chand sitaron ki duniya me
rehta hy ……… J
No comments:
Post a Comment