Jammia bara-e- khawateen, jahan talba't bary zooq o shoq, chaht or umeedon k sath apni ankhon me roshan mustaqbil k sapnay sajaey dakhla leti hain. lakin unki tamam umeedon pr pani us wakht he phrna shoro hojata hai jb orientation k doran aik sadar e muhataram ye irshad farmaty hain "hum yahan mustaqbil ki behtar ourat'en, maa'en , or biwia'n tashkeel daity hain....! na k professional working women".bela'uzar ye jumla haqeeqat pasand hai magar jammia me anay wali har larki mehz aik behtar ourat, biwi ya maa bnay k leay taleem hasil nhi kr rhi balkay apna career bnany k leay is jammia mai apni field muntakhib karti hai.,bilashuba chnd larkian aisi zaroor hongi jinhay mehz degree chaheay jabkay aksareat aisi bhi hain jo apnay bal pr kuch kr dekhany ka hosla rakhti hain. Magar is jammia mai dakhil honay k bd apnay tamam khuwab toot'tay nazar aaty hain. Ap yaqeenan sooch me hngy k jammia mai dakhil hony k bd khuwab tootnay ka kia jawaz ? jawaz tou bilkul nhi hai...agar ap haqeqat sy nazreen chura kr taleem hasil kartay rahen tou . Lekin agr khuda na kuwasta haqeeqat ap pr aya'n hojaey tou apky andar aik jang o jammal ki si kafiat hogi.
jammia ki kuch aala faculty ki janib sy talba't k baray mai nay(new) anay walay asatzah(teachers) ko kuch yun kaha jata hai " yahan gharelo larkian hain, ziada tafseel me parhanay ki zaroorat nhi.bs srsari sa parha kr topic cover karen". albat'a chnd asatzah(teachers) hain jo apni rozi halal karty hain mgr maaf kejeay ga , aksareeat aisi he hai jo aala huk'aam k hukum pr ammal krty hain. Jabky jammia k kuch huk'aam k mutabikh yahan dakhla lenay wali larkian mehz naam k leay taleem hasil karnay aati hain pratical field mai jany ka koi irada nhi rakhten...!
bs yehi waja hai k yahan talba't k sath aisa hi bartaow kia jata hai. e:g. mass communication k talib e ilm honay k bawjod hmain ub tk apni field sy concern koi visit , koi practical implementation nhi karaya gya hai..Chalen maan letay hain k security reason k naam pr aisa karna na mumkin hai mgr seminars, workshops ka ineeqad krna tou mumkin hai Agr kbhi ghalti koi seminar munaqid ho bhi jata hai tou mashallah sy itna behtreen hota hai k jiski misaal sach mai kisi jaga nhi milti or phr kamra-e-seminar ka tou koi mad'ay muqabil kisi jammia mai melay ga hi nhi.
ye kuch talq haqeqaten hain mgr in sb k bawajood hmary hoslay buland hain. q k jammia mai lakh buraian sahe , aadhi adhori he sahe lekin taleem tou mil rahe hai.
ye kuch talq haqeqaten hain mgr in sb k bawajood hmary hoslay buland hain. q k jammia mai lakh buraian sahe , aadhi adhori he sahe lekin taleem tou mil rahe hai.
No comments:
Post a Comment