Saturday, 20 April 2013

AZZAD MEDIA

MEDIA AJ KI DUNIYA KI SAB SY BADI POWERFUL POWER HAI ....HUM LOGO KI BAATO PR YAKEEN KARE NA KREN MAGR AGR WOHI BAAT HUMEIN MEDIA BTAYE TO HUM US PAR ANKH BAND KAR K YAKEEN KAR LETE HAIN...AISA Q HOTA HAI IS KA JAWAB TO SHAYAD KISI K PAS NA HOO TABHI TO KEHTE HAIN K MEDIA AZAAD HAI...
MEDIA KOI ETHICS KO FOLLOW NAHI KARTA Q K HUM NE KHUD USE AZADI DI HAI K WO JO MARZI DEKHAYE KOI USE POUCHNE WALA NAHI...
WAISE KEHNE KO TO PEMRA HAI JO KABHI BHI KISI PE CHANNEL PE PABANDI LAGA SKTA HAI MAGR PHR HUM (AWAM) HI IS BAAT PE ZOR DETE HAIN K CHANNEL KO KHOLA JAYE Q K MEDIA TO AZZAD HAI NA TO PHIR HUM Q KISI KI SUNNE....
AJ KAL HAR KOI YE K HAMARA HAQ HAI K HUM HALAT-E-HAZRA SY BA-KHABAR RAHEN THEK HAI BUT KYA AP KO NHI LGTA K IS CHAKAR MAI HUM KUCH ZYADA HI INVOLVE HO GAYE HAIN K AB JO BAAT HUMEIN NHI BHI MALOOM HNI CHAHYE WO BHI HUMEIN PATA HOTI HAI KYU????
"KYU K MEDIA AZAAD HAI"

Thursday, 18 April 2013

پاکستانی میڈیا :

دن رات ترقی کرتا ہوا یہ پاکستانی میڈیا آخر کس سمت جا رہا ہے ؟ کوئی بھی نیوز بلیٹن لگائیں تو اس میں لازمی پڑوسی ملک کی خبر ضرور دکھائی جا رہی ہوتی ہے . کبھی پڑوسی ملک کی فلمو ں کی خبر چل رہی ہوتی ہے ، کبھی ان کے ملک کے اداکاروں کی برسی منائی جا رہی ہوتی ہے اور آج کل ان کے ملک میں ہونے والا "آئی پی ایل" جس میں کوئی پاکستانی کھلاڑی شامل نہیں ہے برا ہ راست ان کے میچز ہمارے چینلز پر دکھا ے جا رہے ہیں اور ہر ایک میچ کی خبر بھی نشر کی جا رہی ہے کہ آج کون سی ٹیم  وغیرہ وغیرہ . اس کے علاوہ انٹرٹینمنٹ چینل پر بھی پڑوسی ملک کہ ڈرامے اور پروگرامز دکھا ے جا رہے ہیں. ایسا لگتا ہے ہمارے پاس انٹرٹینمنٹ کے حوالے سے کوئی پروگرامز ہی نہیں ہیں. پاکستانی میڈیا پر دوسرے ممالک کی خبریں اور پروگرامز کو دکھانا بند کر دینا چاہئیے اور پاکستانی میڈیا کو چاہئیے کہ صرف اپنے ملک کے پروگرامز کو نشر کرے تا کہ عوام اپنا کلچر دیکھیں اور اپنا ہی  کلچر اپنائیں.         

مہنگائی: 

آج کل ہر گھر میں صرف  خرچے کا چرچا ہے. روز روز کی بڑھتی ہوئی  مہنگائی نے عوام کی قمر توڑ دی ہے . چھوٹی سی کوئی دکان ہو یا بڑا بازار، ہر طرف گاہک اور دکاندار بحث کرتے دکھائی دیتے ہیں . جس طر ح مہنگائی ہر چیز پر اثر انداز ہو رہی ہے ویسے ہی پبلک ٹرانسپورٹ بھی عوام کی دشمن بن ہوئی ہے . ہر دن مہنگائی کا ایک جھٹکا عوام کو لگایا جاتا ہے اور ان کے صبر کا امتحان لیا جاتا ہے . لیکن عوام بھی الله سے امید لگاے بیٹھے ہیں  کہ ایک دن مہنگائی کا بھوت بوتل میں بند ہوجاے گا اور اشیا ٔ کی قیمتیں پہلے جیسی ہوجا ئیں  گی ...!!!

کراچی میں بدامنی :

                                  "سنا ہے خون بہت سستا ہے وہاں  
                    ایک  بستی ہے جسے لوگ کراچی کہتے ہیں "

روشنیوں کے شہر کراچی کو تو جیسے کسی کی بری نظر لگ گئی ہو .روشنیوں کا یہ خوبصورت شہر جو کبھی امن کا گہوارہ ہوا کرتا تھا .آج وہی شہر موت ، ڈر، خوف اور دہشت گردی کی لپیٹ میں ہے .سمندر کے کنارے آباد یہ شہر جہاں پورے ملک سے لوگ اپنے روزگار کے لئےآتے ہیں. آج ہر کوئی عجیب خوف میں مبتلا ہے کہ نہ جانے کب ، کس سمت سے گولی آجاے اور ان کی ہستی کھیلتی زندگی مٹی میں مل جائے. کوئی نہیں جانتا کب اور کہاں بم دھماکہ ہوجاے . الله پاک ہمارے اس شہر اور ملک کو جلد از جلد امن کا گہوارہ بنا دے . (آمین )

Gurbat ka rona


Jin ka hum rona ro rahe hote hain aur jis ko suna rhe hain wo bhi is main braber ke shareek hote hain.......
hakumat to nakam he hilakin awam bhi aaj tak isi kashmkash main phansi hwe he aur gurbat ka rona rone wale jo khud........
hala ke wo khud is muqam per bhi logo ko keh rhe hote hey k meri trah tum bhi be imani karo auris duldul se niklo.........
mulk se wafadari kuch bhi nahi aur ye behus yun hi mukhtalif jaghoo per chalti nazar aati hey......

Behus hakumat aur awam

Pakistan ki mojuda hakumat jitni behus hey us se ziada yahn ki awam behus h.......
q k jub hakumat k khilaf awaz uthane ka waqt ata h tou awam jo pehle bohat zor shor se hakumat ko qasor waar keh ri hoti h achanak un ki har takleef khatam ho jati hey.......
is ki bas ek wajah hey k hmare pakistan ki awam main itehaad ni hey,hmari hakumat ki trah awam dosre k masail dkh kr anjaan ban jati hey r behusi ka muzahira kerte hwe khamosh tamashae bani rehti hey........
ye hi wjah he k aaj tak pakistan taraqi ni kar paya.........

Media ka kirdaar

Ajj kal kehne ko to bohat se issue hain jin per media ko chahye k wo is per covrage ki jae,
maslan:- Mehngae,taleem,Health........
lakin shyed media k lye in sub issues se ziada ahum election hogya he,jo aj kl her channel aur akhbar main bus election hi ki surkhian dkhae r sunae dati he.......
hmare media ko chahye k wo apni tawajh ek taraf markooz na krain balke pakistan main mojood dosre masail per b twajh fermae,ta k hmare Qaid k kuch khawab paya takmeel ko ponche..........

kawa chala hans ki chaal

khne ko to pakistan ka naam Islami Jamhoria Pakistan h,lakin yahn ke bashinde jinhe islam ki alif bay bhi ni malom,wo bashinde jo dosro ki tehzeeb ko apnate apnate apna asal bhol bethe hain.mojuda election main kafi umeed waron k namzadgi form sirf isi lye rad hogae k unhe namaz ki rak'kat aur 6 kalamat jin ke bare main hmen bachpan se hi btaya jata he k marne k bad hum s pehla sawal inhi arakeen k bare main kia jae ga.aj qoam gumrahi ki janib gamzin hey.apne asal ko pehchane aur khud main tabdeeli lain warna abhi jo halat hain us main ye kehna raigan nahi " kawa chala hans ki chaal apni chaal bhi bhol gaya"

hakumat se umeed

kia hmari mua'tal hakumat aur ane wale election se manzaor hone wali hakumat pakistan k halat main behtri la sake gi????? ye swal mera pakistan ki awam aur hakumat dono se hy........
kia is bar sab ki umeedn puri hongi??????
ya phr is bar bhi sub k khwa'ab raigan jaen ge??????
chalen dkhte hain ane wale election aur us k natije main mlne wali hakumat ki karastanian kuch mahinoo baad..........

watan se mohabbat

kabbhi main sochti hon apne watan pe kuch likhun,magar kia likhun????
iqbal k khuabon ka reza reza hona likhon????
ya qaid ku mehnat ka raigan hona likhon???
shehre-e-aman ka be aman hona likhon ya karachi shehar ka kirchi kirchi hona likhon?????
jawan lashon pe maaon ka rona likhon????
ya sharmila farooqi ki mangni p hakumat-e-waqt  ka hansna likhon????
abbas town ki sulagti hwe imarat ka manzar likhon???
ya mohatta palace k gird police ki nafri likhon????
roshnion k shehar ka khoon alood hona likhon????
ya malbay main dabay logon ka tarpna likhon??????
kabhi m sochti hon apne watan pe kuch likhon
magar!kia likhon???????

الیکشن :

الیکشن اپنے ساتھ امید کی کرن لے کر آتا ہے . ملک کی تمام سیاسی جماتیں اس کے دور کا بری بے صبری سے انتظار کرتی ہیں اور الیکشن نزدیک آتے ہی اپنی انتخابی مہم شروع کردیتی ہیں .یہاں عوام کا کردار بھی بہت اہم ہوتا ہے .عوام کی طاقت یعنی ووٹ کا درست استمال ہی عوام کی تقدیر بدل سکتا ہے . الیکشن عوام اور سیاستدان دونوں کے لئے بہت اہم ہوتا ہے .عوام اپنا ووٹ دے کر ایماندار لیڈر کو اقتدار میں لاکر اپنے ملک کی حالت بدل سکتے ہیں .
                           " تو ووٹ دیں اور ملک کی تقدیر بدلیں "

Wednesday, 17 April 2013

TAJUBBA or WAQT :



Bachpan me hum jo zindagi guzarte hain wo bhot befikar or laparw hoti hy, hame kisi cheez ka hoosh nahe hota na sahi ghalt ki pehchan hoti hy , hamare pas azeem naimat WAQT bht miqdaar me hota hy lekin us bhoolpan or masumiyat me in sub cheezon ki kise parwa hoti hy, or waqt guzarta jata hy hum nai nai baten seekhte hain. Lekin yahn b hume un baton pe amal karne ka waqt nahe mila .

Waqt k sath sath hum jub jawani pe qadam rakhte hain to yahan hamare pas josh o jazba hota hy, kuch kar k dikhane ki chah hoti hy hum har jaga har field me hath pair marte hain or apne ap ko samahne ki koshish karte hain is tamam amal k doraan waqt hath sy choot ta jata hy. Or hum tajurba hasil karne k lie he apna tamam tar war surf kr dete hain.

Umar k akhri hisse me hamare pass waqt phr wafer miqdaar me hota hy par yhan hamari himmat jawab de jati hy k yahan wo jawani ka tamam josh o jazba maand par jata hy, or hum TAZURBA hasil kar lete hain, lekin in tazurbat pe amal karne k lie hamare hath wat nahe rehta..

Mere khyal me insane ka sub sy acha zindagi ka hissa bachpan hi hota hy jub insan duniya jahan sy beegana ho kar chand sitaron ki duniya me rehta hy ……… J

kbhe kbhe mery dil main khyal ata hai

yeh khyal aksr mery zehn main gurdish krta hai
kya qurbanian dy kr islye hm ny alag watan paya tha
jahan zalim zulm krta rhy
muzloom bechara psta rhy
ks dagar pr chal diya hai shehr mera
kbhe main sochon tou ankhen num hojati hain
k kya guzrti hoge un ghar walon pr
un maa baap,behn bhaiyon pr
jn k apny nkly tou thy ghr sy khush bash
koe mr gya trget killing sy tou koe hoa andhi golion ka shikar
kya guzrti hoge un ghr walon pr
jb paty hongy apny piyaron ko murda hal




 



"AAINA"(JUDGE UR SELF BEFORE JUDGING OTHERS)

Kya hm aaina ko us k haqeeqi mainey ma istimal krty hn.....?Aaina tou hm roz dekhty hn magar zahiri shkhsiat k lye.Kbhe hm ny apni batin shkhsiat ko dkhny ke koskish ke h?Nhe na!q k hmen fursat he nhe hai dosron pr tanqeed braey tanqeed krny sy.Ab yeh zarori hogya h k hm apni self judgement kren...Hmary han dosron py tankeed krna boht aam hogya h.Hm khd kya hn,kaisy hn yeh sb hm ny sochna chor dya h.Hmary pax yeh sochny ka tme he kahan h..... Hmen  dosry pr ungli uthany sy fursat ho tou hm apny greban main jhanken...Hm us waqt yeh bat bhol jaty hn k jb hm kse ke trf ungli uthaty hn to 4 unglian hmari trf hoti hn ur yeh bhe kehna ghlt nhe k insan ko dosry ke ankh ka shehter nazr ajata hai magar apni ankh ka tinka bhe nazr nhe ata.



Monday, 15 April 2013

WALDAIN KE NAFARMANI

Waldain ke nafrmani jo bht bra gunah h ab aik boht aam se bat hogae hai.Hmen andaza he nhe hota k hm ktna bra gunah kr rhy hn.Maa Baap jo hmen palty posty hn,hmen chlna,bolna skhaty hn ur hmari behtreen trbiat k lye din rat aik kr dty hn aj hm unhe maa baap k sath kya kya kr rhy hn.........?

Maa Baap k jtny hakook hn hm my sy chnd he hongy jo unhen pora ada kr rhy hongy.Wrna hmara hal tou esa hai k maa baap agr hmen kuch kahen tou hm brh chrh k unki bat ka jawab dty hn,unke baton ko porany zamany ke soch kehty hn.Ab tou yeh hal hogya h k maa baap awaz dety rehty hn ur hm sun k usuni kr datey hn.

Quran main frmaya gaya h jiska mfhoom hai k:"ur apny waldain ko uff tk mt kaho"ur hmary Nabi(SAW) ny frmaya jska mafhoom hai k:"main esha ke namaz prh rha hota ur meri maa mjhy awaz deten Mohammad ur main kehta labbaik".Hm yeh bhol gaey hn k maa baap ke khidmt  main he hmari kamyabi h .Ur waldain ke nafrmani hmary lye bht bra gunah h.Yeh tou ab hmara hal hogya h k hmsy hmary borhy maa baap ka khyal nhe rkha jata ur hm jnhen wh itny pyar,mohabbat sy palty posty bra krty hn old home ya kse flahi idary main chor aty hn kya guzrti hoge un waldain k dil py.Hadees main h jska mafhoom h k:"3 logon ke dua rad nhe jati ur  un main sy aik dua maa ke h".

Insan zndagi main  jo bota h whe katta h hm apny waldain k sath jo kuch krengy whe kl hmary sath hoga.Hmen apny in gunahon py khuda sy maafi mangni chahiye ur waldain ke frmanbrdadi ur unsy naik sallok krna chahiye yeh na ho k hm itny nafrman bn jaen jnki bkhshish khuda ramzan k babrkt mahiny main bhe nahe frmata.Kash Khuda ny hmen jo itna acha moka dia hai maa baap ke khdmt ka ur unke khdmt sy jannat ma jany ka wh hm pora kren..

 

PAKISTAN KI TABHA HOTI HOWI MAYEESHAT OR HUKUMAT KI NAEHLII......

Jis tarha hamary mulk ki abadi mai teezi say  izafa ho raha hai us hi teezi say hamary mulk ki mayeeshat garti chali ja rahi hai pechlay kuch saalon say Pakistan ki mayeeshat tabah ho rahi hai jis ki bari waja is ki andaroni seyasi masail ,barhti howi abadi , dehshat gardi or hamsayon say nachaqi hai duniya bhar mai qimatoon mai izafa or maashi pasmandagi hai jis ki waja say Pakistan ki mayeeshat masail ka samna kar rahi hai 2000 say 2007 tak Pakistan ki mayeeshat behtar rahi us waqt taqreeban GDP 7% tha is k bad Pakistan ki abadi or siyasi masayeel ki waja say mayeeshat ka zawal shuro howa 2008 mai hamari mulk ki mayeeshat ki taraqee tehrao ka shikar hogaye thi or rupee ki qimat girna shuro hogae Pakistan aik zaree mulk hai or is ki tareeqi ka inhesar zaraat par hai zaraat Pakistan ki mayeesaht mai rereeh ki hadi ki hesiyat rakhti hai gandom ki paidawar mai kami beronay mumalik mai is ki smuggling or gandom kam kimat mai bechnay ki waja say Pakistan ki mayeeshat ko noqsan ka samna karna parta hai Pakistan apna zaida tar sarmaya petroleum ki masnuaat par kharch karta hai Pakistan ky kham teel ki mang pechaly das salon mai taqreeban 100% barh chuki hai or is ki waja say petroleum ki masnuaat ki qematen bhi gaen hain Pakistan ki daramad mai 50% hissa kapray ki sanat ka hai lekin bijli k bohran or nirqon mai izafay ki waja say ye sanat shadeed bohran ka shikar hai or is say kai log berozgar hogayen hain Pakistan ik masla ye hai k aik to mayeehat kamzor howi or ab tak is ki bahali k liye koi iqdamat nahi kary gaye dehshat gardi , firqawarana fasadaat ,or adam aitamadi ki waja say bary bary sarmaya day or sarmaya beronay mulk chala gaya jis ki waja say hamara mulk mashi badhali ka shikar hogaya hai or Pakistan mai bari bari multinational companies ki sarmaya kari kam hogae hai jis ki bari waja Pakistan kay andaroni halat or ayedin dehshat gardi kay waqiyat hain beharhaal in tamam masail say bakhabar honay ky bawajud hamari hukomat in masail par tawajaa daynay say qaseer hai jis say hukomat ki naehli saaf zahir ho rahi hai .

Sunday, 14 April 2013

ZaRa Sii MuSkAAN :)


                                                                           
Ham din me kae bar muskurate hain lekin hamari aik muskan ketne logo k lie khushi ka bais banti hy ye hum nahe jante. Zindagi me kuch aik log aise hote hain jo hamare hamesha hansne mukurani ki dua karte hain , kyon k un k lie hamari khushi hi mainay rakhti hy. Lekin muskurane k kae faide b hain maslan:


    ·Mukurahat hamare mood ko bahaal kai hy.
    ·Muskurane sy hame andruni taqwiat miti hy.
    ·Muskurahat hamari tension or masail ko b kam karti hy.
    ·Jaded zaraye sy pata chalta hy k muskurahat hamare body system ko b bahaal karti hy.
    ·Ye madad karti hy high blood pressure ko kam karne ki.
    ·Aik muskurahat hamare chehre ko aisa look deti hy k wo mazeed jawan lage, or tazgi bakhsti hy,
    ·Ye hame musbat (positive) sochne par maail karti hy.
    ·Muskurahat or dili khushi hi kamyabi ka gehraa raaz b hy .

Ab hum muskurahat faide to jaan chuke hain lekin yaha ye b zarori hy k kese muskuraya jae, kyon k is k bhi kuch aadaab hain maslan: 


    ·Hame zabardst nahe balke dil sy muskurana chahye, take ap khud apni muskan sy mutmain lagen.
    ·Apki muskan hamesha sachi or kharri ho.
    ·Aankhen b muskurati hain. Jub ap Hansen apki aankhen apki hansi ki gawahi den.
    ·Hamesha apne danton ki safai ka khayal rakhen.

Bus in kuch baton pe amal Karen or apni khushi ko anjoy Karen, kyon k hansna b aik naimat hay, or aajiz banda hr hal me apne rab ka shukar guzar rehta hy. To khud bhi muskuraen or apne ird gird b muskurahaten bikheren…..

"* JIN, BHOOT, CHURAEL ON-AIR *"

JIN'NAAT ! ye lafz sun kr ajeeb sa dar lgta hai, aik zamana hua krta tha jb kbhi kahen jin, bhoot, saya or  asrat jaisya qisay kahanean or kbhi haqiqi waqeat sun'ay ko miltay thy. Magr shayd jis tarha hr cheez taraqi kr rhi hai isi tarha jin, churail or bhooton ny bhi taraqi krle hai or ub  wo bhi hmary qisay kahnion k bjay On-air yani Tv or Radio mai anay k shoqeen hogay hain. Jbhi tou hmara Media aay din aje'naa pr program kr rha hota hai , or sb say ziada manzar amez lamha jb hota hai jb aik jga khali chor di jati hai or kha jata hai yahan JIN  sahb tashreef farma hain. Is sy bhi ziada ghowr talb bat tb hoti hai jb live call k doran aik khaton bat karty huay achank mardana aawaz mai guftugo krna shoro kr deti hain or host k pochny pr jawab  milta hai k mai JIN hon or ubhi mai in khatoon pr agya hon.

Intehai muzaheqay khez bat tb hoti hai jb  morning show ka mozou Jin'nat ho or show k doran kahty hain k is waqt hmaray set pr jin'nat ki mojudgi ko mehsoos kia jaraha hai... 

Morning shows k elawa  bhi mukhtalif promgrams taskhel deay jaty hain jis mai Jin'nat ka interview, Churailon ki rehaish gah ko TV pr dkhaya jata hai,,,  hat'taa k aik bachi pr jin charha hota hai or programe ki host aik aamil baba k sath iskay pas khari na sirf  us sy sawal jawab kr rhi hoti hain balky ye bhi bta rhi hoti hain k ub  hum yahan tum sy bat krny aay hain, tum apna masla btao: hum tmhara masla hal karen gy: tum kis tarha inka pecha chorogy ? bs phr kia janab..! TV mai anay ka shoq kisay nhi hota, isi leay JIN sahab  bhi baray mazay sy khubsorat host ko apna masla bta rhy hotay hain. Goya in programon sy jinnat ko shohrat melay na milay aalbata channels ko achi rating zaroor mil jati hai.



Saturday, 13 April 2013

NHE PRHA MAIN NY POORA SAL AB KYA HOGA MERA HAL.??

Jsy he new clases ka aghaz hota h mostly students usi waqt bht kum pora hony wala wada krty hn ur wh wada pory sal prhny ka hota h:> roz yehe soch k kitaben rkhdi jati hn k abhe tou bht tme h.aj nhe magar kl sy lazmi prhengy.ur yeh kl amoman papers k days main he ati h.hmary han bht km he aesy students dekhny main aty hn jo pora sal prhty hn ur aisy students ko dosry students kitabi keera keh rhy hoty hn.ur yehe dosry students rozana kl ka soch k papers k din he akhir prhty hn ur sb sy amazing bat aik din pehly prhny pr bhe yeh kehty hn yrrrr hm ny tou itne mehnt ke the pta nhe result q esa aya shyd is dfa markng bht khrab hoe h................hmmmmmmmm .????(dil ko behlany k lye ghalib yeh khyal acha h)






Wednesday, 10 April 2013



                                 

         SEASONS IN PAKISTAN "

   
Pakistan is the country blessed by all types of seasons. The people of this country enjoy all the seasons along with the different natural gifts like snowfall, different kinds of vegetables and fruits, rain, leave fall and many other things. There are four seasons usually come in Pakistan which is spring, autumn, summer and winter. Spring is the season normally come in the month of April and ends in May. In this season the new flowers and buds grow. A large variety of flowers is seen everyone. The weather is seen everyone. The weather is normally not so hot or cold. As spring usually come after the winter and before the summer season.

A large number of fruits and vegetables are available in this season to enjoy. After spring summer season starts and it prolong for 4 to 5 months. It is started from June and ends in September. In this season sun shines to its maximum. Sometimes the days become so hot that it becomes very difficult to survive . For this people use air conditioners and coolers to keep themselves fine. Due to enough hotness, it starts raining. Specific types of fruits and vegetables are introduced by the summer season like mango, apricot, pineapple, guava etc. after summer, winter season starts in this season the day and night become so cold that people start using heaters and warm clothes to keep themselves warm all the time.

The special fruits come along in this season which is orange. It is the source of vitamin L. at the end of winter season, the leaves on the trees start falling and the formation of the new buds and leaves starts. This season is called autumn. In this season the floors of grounds covered with the fallen leaves. So every one has its own importance along with its blessings. They all are necessary for the human beings and in this matter the people of Pakistan and fortunate to enjoy all the seasons in a year.

BARISH K PAKWAN

Youn tou hr koe he chahey bcha ho ya jawan barish sy lutf andoz hota hai.Hmary shehr main wsy he barish kum hoti hai islye yahan k log isy bharpor enjoy krty hn .Barish ho ur barish k pakwan na khaen tou barish ka maza kch pheka sa lgta hai.Barish main samosy ur pakory tou aam tor pr khaey he jaty  hn magr barsat main aalo k parathy,besn k prathy,kachori ur khas tour py halwa pori  khany ka tou maza he kch aur hai..

      

  
                                                   






TV DRAMA'S

T.V dramao ka craze aj kal bohat dekhne mai nazar ata hai....pakistani drame to itne ate hain har channels sy k samjh nahi ata k banda dekhe to akher kon sa drama dekhe??.....kehne ko to drama industry kehti hai k hum apne mushare k hi bare mai btate hain jo kuch aj kal hamare muashre mai ho raha hai but haqiqat mai dramao mai aj kal kuch zayada hi haqiqat ko dekha rahe hain jo k thek nahiii....jaise k aj kal k drame tv pe on air a rahe hain mujhe nahi lagta k wo family drama's hote hain...ya phir ye kehna zyada behtar hoga k mushare ki haqiqat ko bayaan karte karte hum kuch zayada hi apni buraiyu ko bardha chardha k bata rahe hain or logo ko un chezon ki taraf bhi mutawaja kar rahe hain jis taraf shayad un ka aam zindagi mai bhi dhayan nahi jata...

ZRA APNA MAHASRA KREN

Bohot sochny k baad ur apny khyalat to khngolny k baad mjh nachez ny kch lkhny ke koshsh ke hai halanky ma is k kabil tou nhe hn mgr phr bhe aik choti se koshish..Shayad yeh koshish kch amli jama ke shkl ikhtiyar krly.
Hm main sy chnd he log shayd aesy hn jo apny mulk k halat sy ashna na hon.Hm apny charon tarf nazr ghomaen tou hr so yehe sunny ko mlta hai k mulk k halat thek nahe hain,....kya karen,ks trhan kren,hmary mulk main tou halat he khrab rehty hn waghera waghera.Sochny ka pehlo is main yeh hai k aisa q ho rha hai? Jahan dekho woh dosry pr ilzam lgata nazar ata hai k us ny esa krdia,us nay aisa fesla suna dia tou aisa hogya,hakumat ny youn krdia waghera.Apny baron sy pochen tou wh yehe kehty nazr aty hn k pehly tou aisa nahe tha,pehly tou halat boht achy thy.Arey q nhe tha kbhe socha...??yeh waqt lamhae fikria hai  ab zarort hai k hr insan apna mhasra kry k main kon hn ur kya kr raha hn? Main sb nhe kahunge lekn hm main sy ziada tr log is dunya main akr apni zndagi ka asl mqsd bhol gaey hn ur sb sy ahem apny khaliq-e-haqiqi ko bhol gaey hn.Khuda taala ny hmari hidayt k lye quran nazil farmaya ta k hm apni zndagi us k mutabiq guzar sken ur hm  ny usy almarion main bnd kr k rkh dia h prhty hn tou srf arbi jo hm smjhny sy qasir hn.Agr hm quran ko smjh kr prhen ur ux pr amal karen tou hamary tamam masail,preshanian,mshkilat khd he khtm hojaenge.Magar afsos hmen in tamam chezon ka wqt kahan?Hmen tou ixke fikar h k us k pax yeh chez hai tou hmary pax q nhe,wh aesa kr rha hai hm q nhe,hmary aas pax ka mahol esa h waghera.Wsy  is moozon py bohot kch lkha ja skta hai magr yeh mozon bht lmba ho chuka hai bx aik bat akhir main kehna chaunge k agr hm khd sahe hojaen tou shyd boht c chezen khd thek ho jaenge..

MOBILE PHONES

mobile phones hamari sab sy badi zarorat bhi hai or aj kal naujawan nasal ko bigardne ki sab sy badi waja bhi.....jahan ek taraf is k bohat faide hain wahen ek taraf kuch log is ka mis use kar rahe hain jis ki waja sy mauashre mai din ba din buraiyan bardhti ja rahi hain.....aye din hone wale bomb blast ki ek badi waja bhi mobile phones hi hain.....ye ek tarhan sy ab fashion ban gaya hai noujawan nasal mai k ache sy acha mobile phones jo apne pas rakhe ga wohi ameer hai wohi fashionable mana jaye ga or use hi latest trends k bare mai pata ho ga...bal k aj kal to ye kehna zayada behtar ho ga log kisi ki personaility ko judge bhi us k mobile phones ko dekh kr hi karte hain....or phir ye aye din k packages...bus koi kasar nahi chodi....mere khayal mai agar kisi cheez ka right use karen ge to wo ap k lye thek hai warna wo ap k lye sb sy badi zehmat ban jati hai...

Tuesday, 9 April 2013

"COLLEGES VERAN , COACHING CENTERS AABAD"


Dunia mai taleem ki barhti hui sharah ny na sirf taleemi medan mai halchal macha di hai balkay hr khas o aam is maidan mai masroof-e-amal hai.

Colleges jahan mulk k maimaron k do(2) intehai aham saloon ki tashkeel hoti hai, dar haqeqat wahan talba(students) mojud he nhi hoty or agr kbhi talba hazir hon tou asatzah(teachers) ghair hazir hotay hain., jb dono hazir hon tou kbhi talba or kbhi asatza classon mai anna pasand nhi kartay.
Ub agar asatza o talba k is ghair sanjedah amal ki waja talash karen tou pata chalta hai k colleges tou mehz emtehanat mai enrol honay ka aik zarya hain jabkay talba intermediate jaisy qemti saloon ki taleemi besat colleges k bjay jaga jaga kholay chotay bary coaching centers k hwalay krna ziada behtar smjhtay hain. Yehi waja hai k coaching center aik acha business bn chukay hain jahan mulk k maimar apna mustaqbil per-course k hesab sy fees ada kr k sanwarnay k leay koshan rehtay hain. Jbkay coaching centers mai mojud asatza koi asman sy utray nahi balkay wohi asatza hotay hain jo colleges mai hotay hain. albat'a ye alag behas hai k wo yehi taleemi mayar college mai talba ko meyasr(provide) krdain tou caoching mai anay ki nobat he na aay, mgr sd afsoos agr wo aisa karen gy tou coaching center sy milnay wali bhari raqomat ka kia hoga.

Behr-hal qasoor sirf astzah ka he nhi  balkay hmary talba ka b hai jo colleges mai jana apnay waqt ka zeya smjhty hain.Or kuch honhar talba aisay bhi hotay hain jo pora saal khwab e khargosh k mazy letay hain or emtehan sy mehz 2, 3 mahena pehlay hosh k nakhon letay hain ,lehaza aisy mai coaching centers crash classes k nam talba ka saal bachany or mustaqbil snwarny k leay koshan rehtay hain.

 
" Veran hain dars gahen manzr udas hai 
aik rush hai coaching mai, kia elm sirf inkay pas hai "



 

Sunday, 7 April 2013


WHY EDUCATION IS IMPORTANT IN OUR LIFE :-

It is very easy to explain importance of education.No human beings are able to survive properly without education. Education tells men how to think, how  to work properly, how to make decision. Through education only one can make separate  identity. It is most important in life like our basic need foods, clothes  and shelter. With the beginning we learnt how to interact with others, how to make friends because of education only. As I remember when my parents had enrolled my name in school not only I learnt the alphabets and numbers but also I made friends, interacted with them with teachers. Education is a productive and beneficial factor in a person’s life. It is everyone’s right to get.  The training of  a human mind is not complete without education.

Conservative education makes independent thinking extremely complicated. If we are being educated merely to achieve distinction, to get a better job, to be more efficient, to have wider domination over others, then our lives will be shallow and empty. If we are being educated only to be scientists, to be scholars wedded to books, or specialists addicted to knowledge, then we shall be contributing to the destruction and misery of the world.

We may be highly educated, but if we are without meaningful combination of thought and feeling, our lives are incomplete and clashing. Education develops a meaningful outlook on life.

" Education is not just a matter of training the mind. Training makes for efficiency, but it does not bring about completeness. Knowledge and efficiency are necessary, which brings up by education."

Friday, 5 April 2013

HAMARI TEHZEEB

TEHZEEB YANI HMARA CULTURE....
AJ KAL KI YOUTH SHAYAD TEHZEEB NAMI LAFZ SY ASHNA BHI NAHI HO GI...PEHLE EK WAKT THA JAB BADO SY NAZREN UTHA K BAAT NHI HOTI THI OR AB CHUP CHAP KISI KI BAAT MAAN LENE WALA DARPOK YA BUZDIL KHELATA HAI BHALE SAY HI WO BAAT US INSAAN K HAQ MAI ACHI HOO PAR NAHI HUM Q KISI KI SUNNE....DIMAGH M YE BAAT BETHA LI HAI K BUS JO HUM SOCH RAHE HAIN JO HUM KAR RAHE HAIN WOHI SAHI HAI BAKI SAB GALAT.....
BEHISSI ITNI BARD GAI HAI AJ KAL SOCIETY MAI K KOI KISI KO NAHI POUCHTA....
HAMARE SAMNE BADA SY BADA HADSA HO JATA HAI PAR HUM SIRF TAMASHA DEKHNE K LYE KHADE HO JATE HAIN NA K KISI KI MADAD K LYE AGE BADHE....
AGE CHAL K KYA HO GA?? KYA IS SY BHI BURA HAAL HO GA YA KUCH ACHAI KI UMEED RAKHI JAYE.........

ELECTIONS HAMARE MULK KA SAB BARAA SAATTA

AJ KAL HAR KOI IS KHUSHFEHMI MAI HAI K HAMARE MULK KA NIZAM NAYE ANE WALI HAKUMAT BADAL DE GII.....SOCIETY KA SB SY BADI FASAAD KI JAAD YANI CORRUPTION KO KHTAM KR DE GI YA PHR AGAR KHATAM NAHI KAR PAI TO KAM TO ZAROR HO JAYE GI!!!.....PAR KYA WAQAI MAI AISA HO GA???
KEHTE HAIN JUWA BHI LUCK SY KHELA JATA HAI AGAR JEET GAYE TO KISMAT CHAMAK GAI OR AGAR HAAR GAYE TO EK JHATKE MAI INSAN ASMAAN SY ZAMEEN PE A GIRTA HAI.....
AP KO KYA LAGTA HAI APNE MULK K ELECTIONS K BARE MAI?? KYA YE JUWA HM JEET JAYE GE YA PHIR...........??????

Tuesday, 2 April 2013

THE AFTER LIFE :-


 One of the teachings of the prophets is that man's existence does not cease with death. Death is only the end of the period of man's struggle and endeavour. During this period he has to find out for himself with his own judgement the right path from the wrong and decide upon his course. He finds his conditions during this period in a state of flux and seeks to preserve it, if good, and to alter it for the better, if bad. With the advent of death, change gives way to eternity. From then onwards his state is unalterable; it will be what he has made of it in his period of evaluation and endeavour and the afterlife is where he achieves the fruit of his struggle during the previous period. This is Islamic teaching about life and death and the hereafter. 

Quran says :-

"On that day  men shall be scattered and see their works, and who has done an atom weight of good shall see it, and who has dane an atom weight of evil shall see it."

Monday, 1 April 2013

" ANOKHI JAMMIA "

Jammia bara-e- khawateen, jahan talba't bary zooq o shoq, chaht or umeedon k sath apni ankhon me roshan mustaqbil k sapnay sajaey dakhla leti hain. lakin unki tamam umeedon pr pani us wakht he phrna shoro hojata hai jb orientation k doran aik sadar e muhataram ye irshad farmaty hain "hum yahan mustaqbil ki behtar ourat'en, maa'en , or biwia'n tashkeel daity hain....! na k professional working women".bela'uzar ye jumla haqeeqat pasand hai   magar jammia me anay wali har larki mehz aik behtar ourat, biwi ya maa bnay k leay taleem hasil nhi kr rhi balkay apna career bnany k leay is jammia mai apni field muntakhib karti hai.,bilashuba chnd larkian aisi zaroor hongi jinhay mehz degree chaheay jabkay aksareat aisi bhi hain jo apnay bal pr kuch kr dekhany ka hosla rakhti hain. Magar is jammia mai dakhil honay k bd apnay tamam khuwab toot'tay nazar aaty hain. Ap yaqeenan sooch me hngy k jammia mai dakhil hony k bd khuwab tootnay ka kia jawaz ? jawaz tou bilkul nhi hai...agar ap haqeqat sy nazreen chura kr taleem hasil kartay rahen tou . Lekin agr khuda na kuwasta haqeeqat ap pr  aya'n  hojaey tou apky andar aik jang o jammal ki si kafiat hogi.

jammia ki  kuch aala faculty ki janib sy  talba't k baray mai nay(new) anay walay asatzah(teachers) ko kuch yun kaha jata hai  " yahan gharelo larkian hain, ziada tafseel me parhanay ki zaroorat nhi.bs srsari sa parha kr topic cover karen". albat'a chnd asatzah(teachers) hain jo apni rozi halal karty hain mgr maaf  kejeay ga , aksareeat aisi he hai jo aala huk'aam k hukum pr ammal krty hain. Jabky jammia k  kuch huk'aam k mutabikh yahan dakhla lenay wali larkian mehz naam k leay taleem hasil karnay aati hain pratical field mai jany ka koi irada nhi rakhten...! 


bs yehi waja hai k yahan talba't k sath aisa hi bartaow  kia jata hai.   e:g.  mass communication k talib e ilm honay k bawjod hmain ub tk apni field sy concern koi visit , koi practical implementation nhi karaya gya hai..Chalen maan letay hain k security reason k naam pr aisa karna na mumkin hai mgr seminars, workshops ka ineeqad krna tou mumkin hai Agr kbhi ghalti koi seminar munaqid ho bhi jata hai tou mashallah sy itna behtreen hota hai k jiski misaal sach mai kisi jaga nhi milti or phr kamra-e-seminar ka tou koi mad'ay muqabil kisi jammia mai melay ga hi nhi.

ye kuch talq haqeqaten hain mgr in sb k bawajood hmary hoslay buland hain. q k jammia mai lakh buraian sahe , aadhi adhori he sahe lekin taleem tou mil rahe hai.