Sunday, 24 March 2013



TALEEM PAKISTAN KI ZARORAT

Pakistan mai din ba din taleem ka rojhan kam say kam hota chala ja rah hai hanlaky taleem hasil karna har insan ka haq hai magar hamary mulk mai sirf 55% fisad log taleem yafta hain yehi waja hai k hum takqee yafta momalik say bhot zaida pechy reh gayen hain kyon k hamary yahan taleem ki bhot kami hai agar taleem  hi nhi hogi to hum kis tarha dosri takqee yafta qumon ka muqabla karengy taleem hasil karna to har mard orat par farz hai magar hamara mulk jis ka naam islami jamhoriya pakistan hai yahan to taleem ka fuqdan hai or uper say sony pay sohaga hamary hukmaran jinhon nay taleem par kabhi tawaja nahi di taleemi idaron ka is qadar naqis haal hai k wahan taleem kay bajayee bhensoon k baray bana diye gayen hain ye to hamaray mulk mai taleemi idaron ka haal hai hamary mulk k deehii ilaqon mai taleemi idaron ka bhot bura haal hai jahan asatza hi taleemi idaron mai mujood nhi hoty hain aisay halat mai tulba taleem hasil karny say qasir hain hamary mulk mai bhot zaida log aisay hain jo apny bacho ko taleem hasil karanay ka bajaye un say kam karwaty hain kyon k un k pas itnay wasayil hi nahi hotay hain kay wo apnay bachon ko taleem hasil kar wa sakayen magar afsos hamari hukomat is par koi tawajja nahi dayti hai in hukomarano ko apni jaiben bharnay say forsat hi kahan hai hamary budget ka khali do fisad taleem par kharch kiya jata hai jo kay bhot hi choti sharah hai pakistan kay taleemi nizam mai bhi firqawariyat basi howi hai gareeb kay bachon kay liye taleem ka miyar kuch aur hai or ameer kay liye kuch or hai hamary mulk mai taleem ko tejarat bana diya gaya hai aur taleem paison say milti hai or paisa hasil karnay k liye li jati hai jab kay taleem ka maqsad paisay ka husool nahi balkay logon ko  shaoor hai or aik acha insan or aik acha shehri banana hai hamray mulk mai sab say gair ehm taleem ko samjha jata hai agar hamary mulk mai taleem ka shoba durost kar diya jaye to bhot say bary masayel hal ho sakty hain jis mai aik bara masla dehshat gardi ka hai jo taleem kay zariye logon ko shaoor day kar khatam kiya ja sakta hai.

1 comment: