"Mera Pehla Blog"
Lekha tou bht kuch bht bar magar apni lekhai me wo pukhtagi or pur-aetamadi na dkhi jo usy manzare aam pr lany ka hosla deti. Phr socha insan tou hai he khatao'n(mistakes) ka putla pr is putlay ko khata' k aeewz kuch melay na melay Tajurba zaroor milta hai, bs usi tajurbay ko hasil karnay ki koshish mai main ny socha bhaly he meri lekhai me wo pukhtagi na ai ho magr koi bhi chez perfect nhi hoti, isi leay ye khayal aya k kahen perfection k intezar me meri sooch, ghour o fikar, izhar o khayalat or nazaryat sirf mujh tk hi mehdood ho kar na reh jain q k buzurgon sy suna tha k Elm Batnay Sy Barhta Hai , tou q na mera thora bht elm agr ap tk meray qalam k zareay phnchay tou yaqeenan natejay mai mjhy bhi bht kuch sekhny ko milay ga.Or sekhtay sekhtay shayad meary qalam ko bhi wo ranai naseeb ho jai jo aik Sahafi (Journalist) k qalam mai honi chaheay . Albat'ta mjhy ye amal bht jald pora hota dekhai dy rha hai
is sher sy ap smjh tou gay hi hongy k mujh nacheez k qalam mai qaari(reader) ko sachai or haqiqat ka chehra he dekhnay ko melay ga, jo k sahaft(journalism) ka sb sy qeemti sarmaya hota hai..Ub dekheay lekhtay lekhtay pata he nhi chala k mai ny apna Pehla Blog lekh bhe lea....
Umeed hai apko haqeqat ki ye jhalak pasand ai hogi. :)
اٹھاتی ہوں جب قلم کے لکھوں کچھ خاص بن کر
الفاظ بولتے ھیں میرے ذہن کا عکاس بن کر
is sher sy ap smjh tou gay hi hongy k mujh nacheez k qalam mai qaari(reader) ko sachai or haqiqat ka chehra he dekhnay ko melay ga, jo k sahaft(journalism) ka sb sy qeemti sarmaya hota hai..Ub dekheay lekhtay lekhtay pata he nhi chala k mai ny apna Pehla Blog lekh bhe lea....
Umeed hai apko haqeqat ki ye jhalak pasand ai hogi. :)
No comments:
Post a Comment